Best Support ��������

Aadhar Scheme Fir se Start

Aadhar Scheme Fir se Start

Ek saal pehle aadhar card and subsidy ke liye jo ho-halla macha tha wo phir se shuru hone wali hai, kyunki Central Govt phir se dbtl scheme laane ja rahi hai(Sarkare badal jati hain scheme nahin). Is sab mein bechari janta ka nuksan na ho bas, Lekin raahat ki baat ye hai ki jin logo ne pehle se apne aadhar card apne bank accounts se link kar rakhe the unhe dubara se pareshan nahi hona padega..
Aadhar se judi jankariya hum time-time par update karte rahenge so humare blog se jude rahe..

Kiss Of Love Party

Abhi haal hi kiss and love party sabhi news channel ki surkhiyo mein rahi, Kochin aur phir Kolkata mein successfull hone ke baad is party ke ayojako ki itni himmat badh gayi ki ye Delhi mein RSS ke office ke saamne "Kiss Of Love". Phir hona kya tha Delhi mein to kisi bhi topic par mahol garm  rehta hi hai.

Kiss of Love party ke ayojako ne facebook par jo apna campaign chalaya us se attract hokar humare berojgar aur fultu free youngsters ne bhi Kochin aur Kolkata ke baad Delhi mein bhi ise bharpur kamyaab banene ki koshish ki par kar na paye.

End of the topic, humein to ye hi baat najar aati hain aaj bhi humare itne befazool kaam karne ke liye humare youngsters free hi baithe rehte hain..

Note: Please like and share in your social site accounts.

Hard Disk Format kare

Computer mein jo bhi data store kiya jata hai wo hard disk mein save kiya jata hai. bina hard disk ke computer chalana lagbhag namumkin hi hai kyunki hard disk mein hi windows aur dusre programs install hote hain. aapke computer me agar kabhi virus a jaye to wo apni ghuspaith hard disk mein hi karta hai isliye jab bhi aap naya windows install karwaye to hard disk jarur format karwa le lekin sirf C drive hi jisme aapke windows install hona ho. format se pehle backup jarur bana le..

facebook par business

Jis tarah se aajkal facebook ka upyog marketting mein ho raha hai us se to yehi lagta hai ki facebook social networking site kam aur business website jyada ho gayi hai.

Online paisa kamao

Sun ne bahut acha lagta hai par karne mein bahut mehnat lagti hai. Waise to Online paise kamane ke bahut tarike hai par 90 percent cheating hoti hai is business mein. Cheating kar ke paisa kamane ke tarike to main bilkul bhi nahi bataunga kyunki internet par main in fraud website walo se bahut pak chuka hun. Inhone mera time aur dimag dono hi waste kiya hai so koi aur dusra vyakti aise pareshan na ho jaise main hua hu.

Online Paise kamane ke tarike main bahut hi jald apni is website pe likhunga so padhte rahe apna blog.

Aadhar ki Enrollment slip

Aadhar card ki enrollment slip kho jaane par bhi aap apna aadhar card download kar sakte yadi aapne aadhar card ke enrollment form mein apne mobile number ya email id register karwaya ho to.. Is se aap apna duplicate aadhar ya e-aadhar download kar sakte hain.

Aapki jaankari ke hum batana chahte hain ki e-aadhar sabhi departments mein maanya nahi hai kyunki security reasons se aadhar safe nahi hain isliye aap apna original aadhar card paane ke liye apply jarur kare.


How to Generate EID from Enrolment Number

Enrollment ID is a 28 digit numeric number. The format in which the 28 digit Enrollment ID (Enrollment Number) has to be entered is:

  • EA Code - 4 digit
  • Station Code - 5 digit
  • Sequence - 5 digit
  • YYYYMMDD - 8 digit
  • HH:MM:SS - 6 digit

The total number of all the above digits will be 28 digit.

In the Acknowledgement Slip/Resident Copy (print receipt), the Enrollment number appears in following sequence: EA Code/Station Code/Sequence Number and Date is entered as (DDMMYYYY)/Time(HHMMSS). The Time appears on Acknowledgement Slip/Resident Copy in 24 hours format.

An EID (Enrolment ID) will be generated out of the enrollment number. The application combines the enrollment number as a single number without any spaces and this  combined number is called as EID.

The above process is explained clearly with an example:



  1. In the Print Receipt, the enrolment number is entered as EA Code(4)/Station Code(5)/Sequence Number(5) and the Date is  entered as (DDMMYYYY)(8)/Time(HHMMSS)(8). Refer Enrolment No. on acknowledgement slip/resident copy.

  1. While generating a EID, the enrolment number and date is combined as single number. The entered Enrolment number in the above figure, appears in following format: 1234104800261520100831150500.

Note: In Enrolment ID, the year changed to YYYYMMDD format (highlighted with blue colour).

Ek Dog ka Management

Ek din ek dog jungle mein raasta bhatak gaya. Tabhi usne dekha ki saamne se ek lion uski taraf aa raha hai. Dog ki saans ruk gayi. Usne socha, 'aaj to kaam tamam mera'. Phir use saamne kuch sukhi haddiya najar aayi. Wo aate hue lion ki taraf peeth karke baith gaya aur ek sukhi haddi ko chuste huye zor-zor se bolne laga, 'wah lion ko khane ka maza hi kuch aur hai. Ek aur mil jaye to dawat puri ho jayegi'. Lion chonk gaya. Usne socha yeh kitna khatarnak dog hai jo lion ka shikar karta hai. Lion turant ulte paon bhaag gaya. Yeh ghatna ek monkey ped par baith kar dekh raha tha. Monkey ne socha ki agar dog ki sachchai lion ko bata di jaye to wo lion se dosti kar sakta hai jis se jindagi bhar ki suraksha mil jayegi. Wo daudkar lion ke pass pahuncha aur bataya ki kaise dog ne use bewakoof banaya hai. Lekin dog ne monkey ko jaate huye dekh liya tha. Thodi der baad dog ne dekha ki lion ki peeth par baitha monkey aa raha hai. Dog ek baar phir lion ki taraf peeth kar baith gaya aur zor-zor se bolne laga, 'is monkey ke bachche ko bheje huye ek ghanta ho gaya, saaala ek lion phansakar nahi la saka!...

Modi ka Swach Abhiyan

2 October, ye ek date hai jo hum sirf Gandhi Jyanti ke naam se jaante hain, kuch logo ke liye ye ek National Holiday hai to kuch logo ke Mahatma Gandhi ko yaad karne ka din. Humne bhi apni 23 saal ki zindagi mein sirf ye hi jaana tha lekin is baar India ke PM Narendra Modi ne is din ko sabhi ke liye khas bana diya specially sabhi politics aur Sabhi Govt Ofiices ke workers ke liye. Swach Bharat program kehne ko to mamuli sa hai but hai asardar ye humko na sirf apne Desh ko Neat and Clean rakhne mein prerit karta hai sath hi humko apne kartavya ki yaad bhi dilata hai.

Bahut se log hai jo Modi ke is program ki aalochna ya burai karte hai, kya un logo ko ye samajh mein nahi aata ki koi insan achche kaam karne ke liye aage badh raha hai to uski burai na kar unke is kaam mein haath badhana chahiye lekin kya kare ye is desh ka bhagya hi raha ki humesha power un hi logo ke hath mein rehyi hai jo kaam hi nahi karna chahte. Meri to Modi Ji se ye hi requeste hi ki aap bahut achcha kaam kar rahe ho aur humein aapse aur bhi umeedein hain ki aap India ke level ko upar tak le jayenge aur is kaam mein hum jaise yuva humesha aapke sath rahenge.

Bharat Mata Ki Jai.

Fantastic T20 IPL Match

Bank ke kaam se thake-haare ghar lautne ke baad jab tv dekha to mazaa aa gya kyunki tv par IPL ka match chal rha tha Kolkata Knight Riders aur Rajasthan Royals ke bich mein.
Iske pehle bhi jab ye dono teams aapas mein bhidi thi to humein ek romanchak match dekhne ko mila. Aaj ke match mein jahan se maine match dekhna start kiya tha tb KKR ke 93 runs the 10 overs mein Gambhir aur Utthappa aise khel rahe the pure tournament mein ye hi dono form mein hain. Sabhi ke sath mujhe bhi KKR ke jitne ke chance lag rahe the lekin man mein aisa lag bhi raha tha kaash RR match nikal le aur hua aisa bhi jab Watson ne ek over 3 wicket aur uske agle over mein Tambe ne jo hat-trick lagayi wickets ki wo RR ke liye bahut hi utsah janak rahi. Lekin KKR ne bahut koshis ki game mein wapasi karne par aakhir kar use haar hi mili..

India beats Australia in t20 world cop2014

Ek behad romanchak match mein India ne Australia ko 73 runs harate huye Australia ki next round mein pahunchne ki rahi sahi kasar bhi tod k rakh din.
Pehle bating karte huye team India ki shuruat thik nahi rahi uske 6 batsman 86 runs ke score tak out ho chuke the par yuvraj wapas apni purani form ko paate huye aatishi 60 runs ki paari kheli, kuch hath captain dhoni ne bhi jamaye par lambi pari nahi khel paye aur australia ko 160 runs ka target de paye.
Jawab mein Australia ki pari shuruaati jhatko se ubar na saki aur puri australia ki team 86 run ke score par all out ho gyi. Spinners ka yogdan ek baar fir yehi btata he ki India ki fast bowling beasar he India team asia continent mein hi aisa pradarshan kar payegi apne spinners ki badolat.
best of luck India Team for Semi-final on 4th April 2014..

end of a writing: khushwant singh

Saahitya mein ruchi rakhne wale log khushwant singh ji se bhali bhati parichit to honge hi na. mashoor writer aur patrakar khushwant singh ji ka 99 yrs ki age mein nidhan ho gya, ye jaankar bada dukh hua. Ye apne zamane ke bahut badhiya writer the, aaj ke naujawan writer se bhi kam nahi the,
Inki pramukh rachnaye nimnalikhit he
1.Train to pakistan
2.A history of Sikhs
3.I shall not hear the nightangle
4.Delhi
5.The sunset club
in sabhi upnyaso ko likhne wale khushwant singh ji ka nidhan 20th Mar 2014 ko New Delhi me ho gya. Khushwant Singh ji english ke behtrin writers mein jaane jate hai.

Car without Clutch 'Celerio'

Maruti Suzuki India ne thursday ko greater noida mein chal rahe Auto Expo-2014 mein apni new hatchback car Celerio ko launch kar diya hai. Iske semi automatic version mein clutch nahi hoga. Gear knob central stake ke pass laga hoga.
Celerio ki speciality ye hai ki gear badane ki jarurat nahi hai. budget car segment mein auto gear shift technology se less ye pehli car hai. Celerio mein 998cc ka 3 cylinder wala petrol engine hai jo 68ps ki power deta hai. Delhi mein iski price 3.98 lac rupees se 4.96 lac rupees ke bich rakhi hai..

Aaj ko behtar banane ke 5 asardaar tips

Aaj hi shuruaat hai. Aaj hi zindagi hai. Aaj yaani beshkimti mauka. Aaj aapki zindagi ko kal ke liye afsos nahi ban ne dein. Padhiye aise hi 5 tariko ke baare mein :
1.Apni Zindagi ke Leader khud bane: Auro ki rai par jeena chhod de. khud ke priti sachche rahe. bahut log apne sapno aur lakshyo ko isliye aage nahi badhate hain ki dusre log unke baare mein kya sochenge. koshish karne se pehle hi wo inhe chhod dete hain. Apni zindagi ke khud leader bane. dusro ko aapka leader na ban ne dein.
2.Ghonsle mein baithe rehne se udna,acha hai: Zindagi bahut chhoti hai. ghonsle mein baithe rehne ki jokhim udne ki jokhim se jyada ghatak hoti hai. Apne pankh khole. udne ki shuruaat abhi se kare. Apni capabilities ki sundarta aur taakat ko dekhe bina umradraj hona thik nahi hai.
3.Badlav ke liye challanges ko accept kare: Jab tak aapke saamne challanges nahi honge, aap mein badlav nahi hoga. jab lakshya bada ho aur plan mushkil lag raha ho to shuruaat kare aur kuch samay ke liye ise aage badhaye. jald hi agla kadam aapko aasan lagne lag jayega.
4.Galtiyo se sikhein, anubhav se sikhein: Aap ladkhadayenge to girenge bhi. galtiyaan karenge to nakaam bhi honge. inse sikhenge. koi bhi insaan perfect nahi hota hai. aap ghayal honge, parajit nahin. anubhavo se hi aage badha ja sakta hai. takleef mein bhi kadam badhate jaye. ye aapki aantrik taaqat ko jaahir karegi.
5.Niraasha ko kabhi haavi na hone dein: Is sach ko sweekar kare ki zindagi perfect nahi hai. log perfect nahi hai. aap perfect nahi hai. sabse mehatvapoorna is baat ko accept karna hai ki haalat mushkil ho, fir bhi unhe anukool bnaya ja sakta hai. nirasha ko khud par haavi na hone dein.

Aadhar Link ke liye 28th Feb tak mohalat

Central Government ne bhale hi rasoi gas cylinder ke liye aadhar link kiye jaane ki vyavastha par rok ki baat kahi ho, lekin oil companies ko is sambandh mein koi aadesh nahi mile hain.
Ye hi karan hai ki oil companies ne direct cash benefit transfer scheme ka grace period 28th Feb tak badha diya hai. Iska matlab hai jin rasoi gas customers ke aadhar number unke bank accounts se link nahi huye hain, unhe iske liye ab 28th Feb tak ki mohalat di gayi hai. Jo customers is period mein aadhar link nahi karwayenge, unhe 1st March se cylinder ke liye 451.50 rupees ki badle pure daam yaani 1221.50 rupees dene hoge.
SUBSIDY KA NAYA CALCULATION:
Non-Subsidized cylinder ke rates : 1221.50
Subsidy wale cylinder ke rates : 451.50
Customers ke account mein aane wala amnt : 770
51 rupees vat lagne par : 719
Aadhar link na karane walo ko 51 ka faayda: Jin Customers ke aadhar number bank accounts se link nahi hai, unhe vat nahi dena hoga, isliye unhe 51 rupees ka faayda hoga.
Note: 1st Feb se non subsidized cylinder ke rates 112 rupees kam huye hain, 31st Jan tak aise cylinder ke rates 1333 rupees thi. Petroleum Mantralay ne iske daam ab 1221.50 rupees kar diye hain...

18 ke hote kabhi bhi jud sakega voter list me naam

Election Commission ke naye prastav ke mutabik kisi bhi yuva ki 18 saal age puri hote hi turant uska naam voter list mein judega. wo iske baad hone wale har election mein vote daal sakega. Election Commission ne Government se iski sifarish ki hai.
ABHI YE HAI NIYAM:
2 january se 31 december 2013 ke bich 18 saal ki age complete karne wale is saal ki voter list mein rahenge. Agar 2014 ki  2 january se 31 december ke bich 18 ki age puri ki hai to 2015 tak intezar karna padta hai.

Aadhar hua Niradhaar

Central Government ne 2014 ke loksabha elections ko dekhte huye ab subsidy wale cylinder ki sankhya 9 se badha kar 12 kar di hai. Iske sath hi ab aadhar se subsidy dene wale faisle ko thande baste mein daal diya hai. Iska faayda sabhi LPG Customers ko milega. Jinhone already aadhar link karwaya hai aur unki subsidy direct account mein aa rahi thi unko bhi iska faayda milega sath hi ab April 2014 se unke account mein direct subsidy na aakar sidhe gas agency se sasta cylinder milega.
In short, Jaisa pehle tha waisa hi ab hoga. kul-milakar humari govt ne baithe-bithaye crores rupye yun hi baha diye aadhar ke naam se. In sab mein sabse jyada koi pareshan hua hai to wo hai garib aadmi. Garib aadmi jisne kaam dhanda chhodkar gas agency, bank aur aadhaar centres mein dhakke khaye.
Naye niyam ke anusaar ab subsidy wale cylinders ki sankhya 12 rahegi ek saal ke liye jiski subsidy ka paisa aapke account mein na aa kar sidhe kam rate mein cylinder milegi. saal mein 12 se adhik cylinder hone par market rate mein hi cylinder milegi. ab aadhaar ko bhul jao...
Is post ke baare mein Comments jarur kare. 

Train ka Alarm

Ek baar train mein Golu ne Ticket Checker se kaha, 'Mujhe subah 4 baje Patiala mein utha dena, Main na jaagu to zabardasti utha dena, kyunki Mujhe Subah Interview dene jaana hai'
Jab Golu Subah 8 baje utha to usne dekha ki Patiala to nikal gaya hai, wo turant Ticket Checker ke paas gya aur  use gaaliyaan dene laga.
Golu: Maine tumse jyada nalayak aur besharm insaan nahi dekha, main itni der se tum se kuch keh rha hu aur tum koi jawab nahi de rhe.
Ticket Checker : Abe chup kar kambakht, main waise hi ye soch kar pareshaan hu ki subah maine jisko zabardasti utar diya, wo mujhe kitni gaaliyaa de rha hoga

Say No to All Mobile Operators Unwanted SMS and Calls

Agar aapke Mobile par galti se caller tone, cricket update, astrology ya koi aur VAS (value added service) activated ho gyi hai to pareshan na ho. Is se sirf ek call se mukti mil sakti  hai. TRAI (Telecom authority of India) ne toll free number 155223 jaari kiya hai.

Is number par complaint karne ke 24 hours mein service band ho sakegi. Is ke alawa Mobile companies dwara nayi scheme ke liye bheje jane wale SMS aur Calls band karwane ke liye customer ko keval message box mein START 0 type kar 1909 par bhejna hoga. Kisi bhi company ke Mobile Phone customer yeh number dial kar Value Added Service band karwa sakte hain.

Iske alawa TRAI ne sabhi Mobile Companies ko raat 9 baje se subah 9 baje tak koi message ya call karne par restriction lagaya hai. Aisa nahi hone par customer website www.nccptrai.gov.in par complaint kar sakte hain.

Link Aadhar to Bank & LPG Account

-->
1. LPG dealers/Bank Accounts mein Aadhar number dene ke baad bhi main kaise aashvast rahu ki Aadhar se jodne ka mera anurodh accept kar liya gaya hai ?
Ans. LPG Dealers aur Bank, aadhar se jodne ke liye aapka anurodh accept karte hain aur aapko iski prapti bhi pradan ki jati hai. Oil & Gas companies / Bank aadhar ke successfully link ho jaane par aapko sms dwara suchit bhi karte hain.
2. Main kaise aashvast rahu ki mere LPG/Bank Account mein subsidy pane ke liye mera Aadhar number link kar diya gaya hai ?
Ans. OPTION1: Apna aadhar linkage jaan ne ke liye OMC ke transparency portals par ‘Check Aadhar Status’ tab par click karein. In portals mein shamil hain  
Aap in websites par apne LPG Dealers aur Bank dono ke sath apni aadhar linkage jaan sakte hain. Aap yeh bhi dekh sakte hain ki kaun-sa aadhar number aapki LPG Consumer number se joda gaya hain.
OPTION2: Kaun-sa aadhar number aapke LPG Account se juda hai, ye aap apne OMC ke call centre par toll free number 180022333555 par call karke jaan sakte hain.
OPTION3: Google play mein diye gaye mobile application aadhar status ka proyog kare. Ye application LPG aur Bank Account dono mein hi aapka aadhar number ke jode jaane ke sambandh mein jaankari deta hai.
OPTION4: MTNL aur BSNL mobile customer apne mobile se *99# dial kare aur rply aane par apna aadhar number enter karne par aap apne bank se aadhar linkage ki jaankari deti hai.

Enroll Your Aadhar Number

-->1.Main aadhar ke liye apna enrollment kaise karwau ? Mujhe apne kshetra ke aadhar centres ki list kahan se milegi ?
Ans. Step1 : click on http://www.petroleum.nic.in/dbtl par check kare ki aapka jila dbtl (Direct Benefit Transfer of LPG) scheme mein aata hai ya nahi sath hi jaaniye ki aapke jile mein kaunsi agency (UIDAI/RGI) aadhar enrollment ka kaam kar rahi hai.
Step2 : yadi aapke jile mein ye hai -
a) UIDAI : apne nearest enrollment centre ki jaankari paane ke liye UIDAI ki website dekhiye www.uidai.gov.in > Residents > Where to Enroll
b) RGI dwara Rashtriya Jansankhya Panjikaran(NPR): general NPR ke antargat enrollment RGI(Register Journal of India) dwara aapke nearest kshetro mein camp lagakar kiye jaate hain.
Step3 : aavashyak documents ke sath enrollment centres par jaaye.

-->
2. Mujhe abhi tak aadhar prapt nahi hua hai, mujhe kya karna chahiye ?
Ans. OPTION1: yadi aapne apna enroll March 2012 ke pehle karwaya hai, to
Step1 : UIDAI ki website http://resident.uidai.net.in mein ‘Check Aadhar Status’ ka upyog karein, apna enrollment ID nirdeshanusar pravist kare
Step2 : yadi Aadhar banaya jana darshaya jata hai, to Date aur Time ke sath apna enrollment slip number, name, pincode aur mobile number input kar ‘Get e-Aadhar’ icon par click kar apna e-aadhar download kijiye. Aapko apne mobile phone par OTP password milega, jisse aap apne e-aadhar ka print-out kar sakenge. Is print-out ko aap apne LPG dealer ya Bank ke sath upyog kar sakte hain.


3. Yadi Aadhar ke liye mera enroll to hua hai, par mere paas iski koi receipt nahi hai, to mujhe kya karna chahiye ?
Ans. Step1: Aapka name, date of birth, gender, mobile number, apna address aur wo sari jaankari jo aapke dwara enroll ke time di gayi thi, email dwara uidai helpdesk help@uidai.gov.in par send karein.
Step2: Helpdesk dwara rply kiye gaye E-ID ka upyog E-Aadhar download karne mein kijiye. Date aur Time ke sath apna enrollment slip number, name, pincode aur mobile number input kar ‘Get e-Aadhar’ icon par click kar apna e-aadhar download kijiye. Aapko apne mobile phone par OTP password milega, jisse aap apne e-aadhar ka print-out kar sakenge. Is print-out ko aap apne LPG dealer ya Bank ke sath upyog kar sakte hain.
4. Maine aadhar ke liye enrol karwaya hai aur mere paas iska enrollment id bhi hai, kya main aadhar kramank ke liye aashvast reh sakta hun aur ise pane main mujhe kitna samay lagega ?
Ans. Sabhi enrolled citizens ko aadhar number nahi milega. Unke enroll kuch karano se cancel ho sakte hain. Personnal karano ke aadhar par, jinme shamil ho sakte hain:
·   Ye prikriyaadhin ho, ya
·   Ye ban gaya ho par abhi aap tak na pahuncha ho, ya
·   Ise cancel kar diya gaya ho.
Aadhar krimank diye jaane ke purv enroll karwane ki date ke baad bhi iski prikriya mein ek nischit samay lagta hai. Yeh samay kshetra ke anusar alag alag ho sakta hai aur yahan tak ki enroll ki date ke baad adhik se adhik 8 weeks ka samay bhi lag sakta hai.
5. Mere paas apna enrollment ID hai. Main apna aadhar number kaise prapt karu jis se main iska upyog apne LPG ya Bank Account mein kar saku ?
Ans. OPTION 1: UIDAI ki website se 
Step1:  UIDAI ki website www.resident.uidai.net.in/ par click kar ‘Check Aadhar Status’ ka upyog karein, apna enrollment ID nirdeshanusar pravist kare.
Step2: yadi Aadhar banaya jana darshaya jata hai, to Date aur Time ke sath apna enrollment slip number, name, pincode aur mobile number input kar ‘Get e-Aadhar’ icon par click kar apna e-aadhar download kijiye. Aapko apne mobile phone par OTP password milega, jisse aap apne e-aadhar ka print-out kar sakenge. Is print-out ko aap apne LPG dealer ya Bank ke sath upyog kar sakte hain.
Step3: yadi aadhar prapt nahi kiya ja saka hai, tab UIDAI Call Centre number 18003001497 (tollfree) par call kijiye ya apni shikayat email id help@uidai.gov.in par send kare.
OPTION 2: Aadhar se related complaints ki solutions ke liye kuch state govt/district magistrate nagrik sahayata Kendra bhi chala rahe hain. Yadi ye aapke jile mein hain to aadhar number prapt karne ke liye in kendro par jaye.
6. Main kaise jaan sakta/sakti hun ki mera aadhar number mere Bank Account ke sath jod diya gaya hai ?
Ans. MTNL aur BSNL mobile phone customer dial kare *99#.
7. Main apni aadhar profile mein apni personnel jankari kaise usme sudhar/thik kar sakta/sakti hun ?
Ans. OPTION1: Self service update portal ka upyog nimna-anusar kare.
Step1: https://ssup.uidai.gov.in/ssup-home par visit kijiye.
Step2: Site par diye gaye nirdesho ka palan karein.
OPTION2: Permanent Enrollment Centres se contact karein.
Step2: State, District, location ko choose karein.
Step3: Appointment ka time fix kare.

 

No comments:

Post a Comment

Total Pageviews